Me jab bhi tez chalta hu,
Nazare chut jate he.
Koi jab roop ghadta hu ,
To sanche toot jate he.
Me rota hu to aakar log kandha thapthapate he,
Me hasta hu to aksar log mujhse rooth jate he. mai uska hoon wo is baat se inkaar karta hai.
bhari mehfil me bhi ruswaa muje har baar karta hai.
yakin hai saari duniya ko khafa hai wo mujhse lekin.
mujhe maloom hai fir bhi mujh hi se pyaar karta hai.
Kisi Patthar Me Murat Hai, Koi Patthar Ki Murat Hai..
Lo Humne Dekh Li Duniya, Jo Itni Khubsurat Hai…!
Zamana Apni Samjhe, Par Mujhe Apni Khabar Ye Hai..
Mujhe Teri Zaroorat Hai, Tumhe Meri Zaroorat Hai…!!
\
harek khone, harek paane me teri yaad aati hai
namak aankhon me ghul jaane me teri yaad aati hai
teri amrit bhari lehro ko kya maloom ganga maa
samundaar paar, viraane me teri yaad aati hai.
Humre sher sun kar ke bhi jo khamosh itna hai.
khuda jane gurur-e-husn mein madhosh kitna hai
kisi pyale se pooncha hain surahi se sabab maika
jo khud behosh ho wo kya bataye hosh kitna hain
jo dharti se amber jode uska naam mohobat he
jo shishe se patthar tode uska naam mohobat he
katra katra sagar tak to jaati he har umra magar
beheta dariya wapas mode uska naam mohobat he
bohot tuta bohot bikhara thapede seh nahi paya
hawao k esharo par magar me beh nahi paya
raha he ansuna aur ankaha hi pyar ka kissa
kabhi tum sun nahi payi kabhi me keh nahi paya
tumhare paas hu lekin jo doori he samajhta hu
tumhare bin meri hasti adhuri he samajhta hu
tumhe me bhul jaunga ye mumkin he nahi lekin
tumhi ko bhulna sabse zaroori he samjhta hu
panaho me jo aya ho to us par waar kya karna
jo dil hara hua ho us par fir adhikaar kya karna
mohobbat ka maza to doobne ki kashmakash me he
ho gar maloom garai to dariya paar kya karna
samadar pee rakha andar he lekin ro nahi sakhta
ye aansu pyaar ka moti he isko kho nahi sakta
meri chahat ko dulhan tu bana lena magar sun le
jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta
Comments
Post a Comment