Baat uunchi thi magar baat jara kaam aanki
Usne jajbaat ki aukaat jara kam aanki
Wo farista keh kar mujhe jaleel karta raha
Mai insaan hoon, meri jaat jara kam aanki
Ek do din me wo ikraar kaha aayega
Har subah ek hi akhbaar kaha aayega
Aaj bandha hai jo inn baaton me to bahal jayenge
Roj inn baahon ka tyohaar kaha aayega
Jism ka aakhiri mehmaan bana baitha hoon
Ek ummid ka unvaan bana baitha hoon
Wo kahan hai ye hawaon ko bhi maloom hai magar
Ek bas mai hoon jo anjaan bana baitha hoon
Kitni duniya hai mujhe zindagi dene wali
Aur ek khwab hai tera ki jo mar jata hai
Khud ko tarteeb se jodun to kaha se jodun
Meri mitti me jo tu hai ki bikhar jata hai
Use yakeen tha khud pe ki bhool jayega,
Humein bhi dil pe bharosa tha, yaad rakhe hain.
Comments
Post a Comment