amawas ki kali raato me jab dilka darwaja khulta he,
jab dard si pyali raato me gum aansu k sang ghulta he,
jab pichwade k kamre me hum nipat akele hote he,
ghadiya tik tik chalti he sab sote he hum rote he,
jab bar bar dohrane se sari yade chub jati he,
jab uch nich samjhane me mathe ki nas dukh jati he,
tab ik pagli ladki k bin jeena gaddari lagta he ,
aur us pagli ladki k bin marna bhi bhari lagta he.
jab pothe khali hote he jab harf sawali hote he,
jab gazalein raas nahi aati afsane gaali hote he,
jab basi fiki dhup samete din jaldi dhal jata he,
jab suraj ka lashkar galiyaro me deer se jata he,
jab jaldi ghar jane ki iccha man hi man ghut jati he,
jab se ghar lane wali pehli bus chut jati he,
jab beman se khana khane par maa ghussa ho jati he,
jab lakh mana karne par bhi paaro padhne aa jati he,
jab apna manchaha har kaam koi lachari lagta he,
tab ik pagli ladki k bin jeena gaddari lagta he,
aur us pagli ladki k bin marna bhi bhari lagtahe
jab kamre me sannate ki awaj sunai deti he,
jab darpan me aakho k neeche jhai dikhai deti he,
jab badki bhabhi kehti he kuch sehat ka bhi dhyan karo,
kya likhte ho lalla din bhar kuch sapno ka samman karo,
jab baba wali bethak me kuch rishte wale ate he,
jab baba humein bulate he hum jate he ghabratein he,
jab saadi pehne ik ladki ka photo laya jata he ,
bhabhi humein manati he photo dikhlaya jata he,
jab sare ghar ka samjhana humein fankari lagta he,
tab ik pagli ladki k bin jeena gaddari lagta he,
aur us pagli ladki k bin marna bhi bhari lagtahe.
didi kehti he us pagli ladki ki koi aukaat nahi,
uske dil me bhaiya mere tere jese pyare jasbaat nahi,
wo pagali ladki meri khatir no din bhukhi rehti he,
chup chup sare vrat karti he magar mujhse kuch nahi kehti he,
jo pagli ladki kehti he me pyar tumhi se karti hu,
lekin me hu majboor bohot amma-baba se darti hu,
us pagli ladki par apna koi adhikar nahi baba,
sab katha-kahani-kisse he kuch bhi to saar nahi baba,
bas us pagli ladki k sang jeena fulvari lagta he,
aur us pagli ladki k bin marna bhi bhari lagta he.
Comments
Post a Comment