purva ke daman par daag bahut gahre ho,
sagar ke manjhi mat man ko tu haarna,
jiivan ke kram me jo khoya hai, paya hai,
Patjhad ka matlab hai phir basant aana hai…!!
Rajvansh roothe to, Rajmukut toote to,
Sitapati-raam se raajmahal chhote to,
aasha mat haar, paar sagar ke ek baar,
patthar me praan phunk, setu phir banana hai,
Patjhad ka matlab hai phir basant aana hai…!!
Ghar bhar chahe chhode, suraj bhi muh mode,
vidur rahe maun, chhine rajya, swarnrath, ghode,
Maa ka bas pyar, saar geeta ka sath rahe,
Panchtatv sau par hai bhari, batlana hai,
Jeeban ka raajsuy yagy phir karana hai,
Patjhad ka matlab hai phir basant aana hai…!!
Comments
Post a Comment